ahd-e-mazi ke jharokon se chali aati hain muskuraati hui yaaden meri gungunati hui yaaden meri aur mahsus ye hota hai mujhe jaise banjar si zamin qatra-e-abr-e-guhar-bar se shadab bani jaise sahra mein bhatakte hue ek rahi ko chashma-e-ab mila jaise pamal tamannaen tarashshoh pa kar phir tar-o-taza huin jaise tarsida kali muskurahat se dil-awez bane ek lamhe ke liye sina-e-sozan mera shabnami yaad se muskata hai ek lamhe ke liye kapkapati hui sahmi hui hasti mein unhen yaadon ki halawat mein sama jati hai yahi yaaden to meri zist ka sarmaya hain muskuraati hui yaaden meri gungunati hui yaaden meri