rang-e-fitrat hai wajh-e-hairani aql hai aur haya-e-nadani raaz-dan muddaa ko kahte hain husn ulfat ka dagh-e-peshani husn-e-baqi ne dil ko khinch liya rukhsat ai husn-e-hasti-e-fani dil hai waqf-e-raja-e-rahm-o-karam jaan hai nazr-e-raza-e-rabbani ab main samjhi ki hai fana-e-khudi imbisat-e-bahisht-e-lafani gham na kar hai naqib-e-abr-e-bahaar khushki-e-mausam-e-zamistani dil-e-sad-para ke alam gin lun dekhi jaegi subha-gardani kar sake tai na mulk-e-irfan ko rumi o maghribi o kirmani duru-e-bazm-e-dost ke gham mein mahw-e-afghan hai ek afghani arsh ke kangare pe tair-e-quds raat karta tha yun khush-ilhani ki hai insan tilism-e-shan-e-khuda qadr apni na is ne pahchani band kin us ne jab zara aankhen khul gaya raaz-e-bazm-e-imkani chaara-e-ruh falsafi hai na shaikh ek wahmi hai ek khafaqani kasrat-e-in-o-an mein wahdat-e-dost kunj-e-nayab ki farawani shaikh ranj-e-bayan ka dar na kare la-bayan hai ye kaif-e-wajdani mutashakkik hai aur shikayat-e-hijr nuzhat aur shukr-e-lutf-e-pinhani