mahina bhar sar ke baal na katwaun to mujhe kya dekhne walon ko wahshat hone lagti hai har hafte hathon aur pairon ke nakhun na lun to mahsus hota hai jaanwar banta ja raha hun subh shawe na banaun to ghar se nikalte jhijak aati hai thahariye zara main dekh lun bahar ye shor kaisa hai are mali lawn mein ghas ki machine pher raha tha aap to jaante hain ghas na kate to machchhar jaan nahin chhodte waise kabhi aap ne takistanon mein angur ki tund-mund mudhiyon ko dekha hai yaqin hi nahin aata ki un se nai shakhen phutengi jo patton aur guchchhon se lad jaengi abhi main ne gulab ke paudon ki apne hathon se kant-chhant ki hai meri aalim fazil biwi ki jaan nikalti ja rahi thi jab main bedardi se qainchi chala raha tha lekin main baghbanon ki aulad hun dukh to mujhe bhi hota hai pale hue paudon aur darakhton ko chhangte hue lekin phul aur phal to us ke baghair yun samjhe rang hi nahin late na wo husn na wo maza na wo bohtat aap bhi sochte honge punjab ka muqaddama ladte ladte main hajjamon aur maliyon ki wakalat karne to nahin chal pada sada si baat hai ki insanon aur paudon ki tarash-kharash hoti rahni chahiye lekin kya baal katwa liye jaen nakhun le liye jaen shawe kar li jae to kaam khatm ho jata hai kya insan sirf jism ka nam hai ya jazbaat khayalat khwahishat aur azaem bhi hamara hissa hain to kya jism ke sath un ki tarash-kharash bhi zaruri hai shayad jazbaat aur khayalat ki tarash-kharash hi ko tahzib kahte hain shayad khwahishatan aur azaem ki nok-palak sanwarne hi se tamaddun ne janm liya hai warna to insan gharaz-mandana huquq hi ke chakkar se nahin nikalta aur zimmadariyon ke idrak-o-ehsas ki naubat hi nahin aati muaf kijiye ye sari chori-chakari bad-kari hawas-kari ye sari lut-mar jal-sazi haram-zadgi be-sabri na-shukr-guzari ye sara jhut fareb lalach fitna fasad jazbaat-o-khayalat aur khwahishat-o-azaim ki hajamat na banane hi ka to natija hai janab jazbaat ko tamiz aur khayalat ko akhlaq na sikhaya jae khwahishat aur azaem ke munh par insaniyat ki lagam na di jae to phir wahi kuchh hota hai jo aaj hamare yahan ho raha hai aur ye kah kar ziyaada din guzara nahin ho sakta ki is tarah to hota hai is tarah ke kaamon mein aap hansenge main jab bhi ye misra padhta hun is tarah se mujhe ustura yaad aa jata hai qainchiyan yaad aa jati hain hajamat yaad aa jati hai kuchh bhi ho main to samajhta hun ki qaumi sath par hamari hajamat bahut zaruri ho gai hai hamare sirf baal aur nakhun hi nahin badh gae hum zahir hi mein nahin baatin mein bhi jaanwar bante ja rahe hain jaanwariyat hamare dil-o-dimagh mein utar gai hai ab to andar bahar hajamat ki zarurat hai bhai bulao kisi nashtar-ba-dast hajjam ko jo hajamat banae aur fasd khole hamari lekin ek anar aur sau bimar ek akela hajjam aur chaudah karod insan ye to hum sab ko khud hi aaine ke samne baith kar hajamat banai aur fasd kholni padegi apni to bhaiyo aur bahno mere pyare ham-watano aaj se qaumi sath par hamara yak-nikati agenda kya thahra boliye sab boliye pure zor se boliye hajamat hajamat apni apni hajamat