kya mere qadmon ke niche bhi jannat hai puchhti hun apne bachchon se mere sawal par wo mujhe hairat se dekhte hain man ye jannat kya hoti hai are ye main ne tum ko nahin bataya chalo suno kahte hain jo man apne bachchon ko apne dil ke qarib rakhti hai use jannat milti hai man hum kya jaane tumhaare dil mein kya hai hum kya jaane jannat kya hai hum to ye jaante hain tum hamare dil ke qarib hamesha ghumti ho kabhi hanste hue kabhi hamari pareshaniyon par rote hue tum ne hamesha hamare liye hamari khushiyon ki jannat banai man batao ye jannat kya hai