yaum-e-mizaji yaron ki sab meri dekhi-bhaali raat ki tariki mein un ki angara si aankhen puri din ko andhi aur adhuri khali din ke ye darwesh magar raaton ke wali apne mohsin ko jab din ke aaine mein dekhen fart-e-adab se simten sikuden jhuk jaen aur kuchle masale raunde lahje mein puchhen kaisa hai mizaj-e-ali raat ko lekin pyar ka rasta kat ke niklen jaise billi kali in ki hai bas ek nishani gali