kahin gulab ki kaliyon mein muskuraate hain kahin hujum mein bachchon ke pae jate hain nazar se chhup ke bhi wo dil ke pas rahte hain main tum se dur nahin hun wo hum se kahte hain wo chacha nehru jo bachchon se pyar karte the nae zamane ka jo intizar karte the naya zamana jo duniya ko raushni bakhshe har aadmi ko nai ek zindagi bakhshe wo jis mein amn-o-mohabbat ka bol baala ho charag-e-ilm se har samt ek ujala ho amir jis mein na chusen lahu gharibon ka nasib jis mein chamak jae bad-nasibon ka hum un ke khwab haqiqat bana ke chhodenge ki chacha nehru se rishta kabhi na todenge