yar parinde! yahin kahin tha nim ke ped ka dayar mitti ki kachchi diwaren chandi jaise yar yassu punju haar kabutar, kanche wanche, tash jitne wale nalan, haarne wale the khush-bash ulte tawe ki roti sath mein khatta mitha sag makkhan ki daliyon mein jaise man ke pyar ka rag do kamron ke ghar mein itne ghane ghanere log nim ki chhanw bantne aate ganw bhar ke log ghar ka darwaza tha sanjha jaise ghar ki man sahn mein itni wusat hoti jaise ek jahan yar parinde! ganw wahi hai waisa nim ka ped diwaron par kanch jade hain darwazon par qufl sham dhale hi chaupalen ho jati hain sunsan changiron ki basi roti aur dabbe ka dudh hawa huin makkhan ki daliyan hawa hua wo pyar yar parinde! nim ke ped ki baaton mein mat aa pas ke jangal mein zaghon ke dere par sau ja