meri ramaen adhuri hai abhi meri sita aur mujh mein hail duri hai abhi meri sita udas hai rishton ka phaila ban-bas hai phirna hai mujhe abhi jangal jangal sahra sahra sagar sagar mera hamza wahi mera lachhman hai abhi zamana to ayyar hai sau bhes badal leta hai sadhuon ke bahrup mein hain poshida abhi na jaane rakshash kitne aaj phir zamane ne chhal liya hai mujhe meri sita ko haalat ke rawan ne har liya hai abhi dur bahut dur meri nigahon se ojhal sahil samundar ki ret par wo be-sudh padi ro rahi hai abhi taham apni shikasta haali se is ne haar nahin mani hai abhi waqt ke lankeshwar ke aage us ne aatm samarpan kiya nahin hai abhi rit mein dhansi apni nannhi si kashti ko wo tak rahi hai ghaur se apne ram ke qadmon ki aahat ki muntazir samaat ko samete hue sarapa-bagosh bani dukh ki bhatti mein tap ke nikhar rahi hai abhi milan ki shubh ghadi ka use abhi hai yaqin is ke khushk honton pe hai mera hi nam ram ram ram sahibo haqiqat to ye hai ki rakshas bahar nahin hai kahin rakshas to khud apne andar darun-e-khana-e-dil mein ru-posh hai kahin meri sita meri bholi bhaali sita ko intizar us sunahre pul ka hai jab mera ghussa shant hoga aur mere andar se mariyaada purush ram utpann honge kabhi na kabhi tab rawan apne aap hi parast ho jaega tabhi ram ji apni sita ko apne pahlu mein utha kar le jaenge apne dil ke singhasan par bithaenge tabhi tabhi dip jalenge ghar aangan mein upar niche chaaron aur tabhi din dasahra hoga tabhi raat diwali hogi meri ramayan adhuri hai abhi phirna hai mujhe abhi jangal jangal sahra sahra sagar sagar