chaman mein naz se athkheliyan karti bahaar aai gulon ka pairahan pahne wo jaan-e-intizar aai chaman wale sabhi fart-e-masarrat se pukar utthe bahaar aai bahaar aai bahaar aai bahaar aai kahin kaliyon ko chheda hai kahin phulon ko chuma hai gale mil mil ke patton se wo yun ruthi bahaar aai nasiba jag uttha phir sabhi ahl-e-gulistan ka dilon ka dagh dho dho kar wo bar-e-gham utar aai nai phir zindagi aai naya dil mein surur aaya nae sapne nae arman nai aasha ubhaar aai khula hai mai-kade ka dar aur izn-e-am hai sab ko wahan par aaj rindon ki qatar andar qatar aai gae gulshan pe ghairon ke to mauj-e-rang-o-bu ban kar har ek gulshan se hum ko bhi nida-e-khush-gawar aai nigah-e-bad se dekha hai kisi ne gar gulistan ko to gul-chi ki har ek sazish hamin ko sazgar aai jinhon ne is chaman ko khun aur ashkon se sincha tha bahaar aai to yaad un ki hum ko bar bar aai na mali ho kabhi ghafil na an-ban ahl-e-gulshan mein tabhi samjhenge hum yaron haqiqat mein bahaar aai sada apne chaman mein daur-daura ho bahaaron ka 'habib' apni zaban par ye dua be-ikhtiyar aai