shahr mashhur-e-zamana dekhne aaya hun main rajdhani teri raana dekhne aaya hun main kya kahun kaise kahun kya dekhne aaya hun main didani har ek nazara dekhne aaya hun main sar-zamin-e-padmani gahwara-e-pratapi bhim rashk-e-firdaus-e-zamana dekhne aaya hun main khushnuma jhilon mein larzan jin ka hai aks-e-jamil un hasin mahlon ka naqsha dekhne aaya hun main ab bhi baqi jis zamin par hai guzishta azmaten wo zamin ba-chashm-e-bini dekhne aaya hun main sarzamin wo jis mein thin ismat se arzan zindagi kar ke patthar ka kaleja dekhne aaya hun main jis ki khatir pi gae jam-e-shahadat surma rajputon ka wo kaba dekhne aaya hun main jis se baqi aaj tak hai aan rajasthan ki wo jamal-e-husn-ara dekhne aaya hun main sarzamin rangi hai jin ki khun se haldi ghat ki un ki ummidon ki duniyan dekhne aaya hun main us ki mitti mein hawa mein aab mein kohsar mein shan-e-khuddari ka jalwa dekhne aaya hun main thi faza makhmur jin se apne bachpan ki 'habib' un hasin khwabon ki duniya dekhne aaya hun main