diwar pe mazdur ki taswir saja kar akhbar ke kone mein khabar ek laga kar kuchh card bhi mazdur ke hathon mein utha kar do-chaar gharibon ko bhi dharti pe bitha kar un mein se kisi ek ko stage par la kar phir us ki kahani sabhi logon ko suna kar taqrir kara kar to kabhi tali baja kar mazdur ko mazdur ka irfan dila kar aur apne tain kar-e-muqaddas ko nibha kar har sal ye ehsan jatate hain bade log mazdur ka phir jashn manate hain bade log