khun-e-jamhur mein bhige hue parcham le kar mujh se afrad ki shahi ne wafa mangi hai subh ke nur pe tazir lagane ke liye shab ki sangin siyahi ne wafa mangi hai aur ye chaha hai ki main qafila-e-adam ko tokne wali nigahon ka madad-gar banun jis tasawwur se charaghan hai sar-e-jada-e-zist us tasawwur ki hazimat ka gunahgar banun zulm parwarda qawanin ke aiwanon se bediyan takti hain zanjir sada deti hai taq-e-tadib se insaf ke but ghurte hain masnad-e-adl se shamshir sada deti hai lekin ai azmat-e-insan ke sunahre khwabo main kisi taj ki satwat ka parastar nahin mere afkar ka unwan-e-iradat tum ho main tumhaara hun luteron ka wafadar nahin