ye achchhe log hain in se na milna aur milna bhi to in ki aastinen dekh lena ye achchhe log hain aur be-shikan shaistagi in ka muqaddar hai ye achchhe log hain aur be-sada shoridgi in ka muqaddar hai lapakte paniyon ki aakhiri aasudgi in ka muqaddar hai ye achchhe log hain jab sham hoti hai to be-awaz galiyon ke sahaare kunj-e-goyai mein apni aag lene jate hain aur raste bhar khud ko paighambar samajhte hain ye achchhe log hain aur aag in ka masala hai ye achchhe log hain sadiyon se un ki maen kahti aa rahi hain padosan aag dena dhuan dete hue chulhe ki subhen aanganon mein phailte sae kiranji dhup bhuri aankh wali ladkiyon jaisi wafa na-ashna shamen tawe ko senkte thithure hue hath aur raaton ki ulajhti silwaten jismon ki aasuda saliben aspatalon mein janm deti hui marti hui maen ye shamshanon ki bewaen kai sadiyon se dohraen padosan aag dena padosan aag khamyaza unhi raston ka aawaza unhi raston pe chalna aur yahi kahna ye achchhe log hain in se na milna aur milna bhi to in ki aastinen dekh lena