jab guzar jae ek khwab aur rah jae ek talchhat pet bharta hai jab darakhton par roti nahin ugti dhul aur dhup khali karte hain jism rah jati hai ek sans jo milati hai panw zamin se jab guzar jae ek din aur rah jae ek raat be-maza aur kasili baqi kuchh nahin rahta sirf zamin aur panw mez par rakhe hath