nahin ye bastiyan viran nahin ab bhi yahan kuchh log rahte hain ye wo hain jo kabhi zakhm-e-wafa bazar tak aane nahin dete yahan kuchh khwab hain jo sans lete hain jawan khwabon ko tum dekho to dar jao falak aasar baam-o-dar yahan waqat nahin rakhte kulah-o-zar yahan qimat nahin rakhte ye kitne log hain be-nam hain be-lag hain be-sakhta jine ke talib hain ye dil ke bojh ka ahwal apne harf khud likhne ke talib hain ujale ki sakhi kirnon ko zindan se rihai do