parinda jo honton pe par taulta tha use baz rakhne ki khatir ek aaseb tha mere dar pe qad us ka falak napta tha nigahen uthao jo chehre ki jaanib to ghutne se atkin mujhe us ne mohre ki surat uthaya aur ek swimming-pool mein la ke dala wo ye chahta tha ki pani mein ye aag bhadkane wali hasin machhliyan mujh ko rangon mein apne jakad len mere khun mein ye aatish rang bhar kar mujhe bhasm kar den magar jab na ho paya aisa to us ne mujhe ek pahadi gupha mein utara jahan sim-o-zar ka ek ambar sa tha us ambar mein khul ja sim-sim ki yaad aai chaalis choron ki dahshat dar aai mujhe us ne qasim ki surat mein dekha tha us ko yaqin tha chaka-chaund zar ki mujhe dasht-e-na-bud ki rah par dal degi magar jab na ho paya aisa to us ne meri ek kaf-e-dasht par chand aur dusri pe rakha la ke suraj aur khud apni tangon se a aur w ungliyon se bana kar ajab tuntune se khada tha mere hath ne us ki w par ye chand aur suraj uchhaale chhanaka hawa zor ka main ne dekha zamin par ye chand aur suraj shikasta the aur hont ke mustaqar se parinda fazaon ke aaghosh mein tairta tha zamin aasman ke qulabe milata hua dew aaseb qad mein meri unchi gardan ke jute ke ham-sar hua tha