yahi din to azal se meri qismat tha magar aankhon mein sahra ne bhari wo ret sab tarik lagta tha main kitne hi sarabon aur azabon se thi guzri khushk honton par duaen bhi nahin thin abhi to aasman dekha tha main ne nishan tak bhi nahin tha baadalon ka ajab din hai sar-e-sahra hai wo jal-thal ki hum yun bhigte chhinte udate muskuraate manzaron ke aaine mein dekhte hain aks jo aankhon mein khulte hain! ragon mein saaton ki ek sarshaari samai hai yahi ek din to meri zindagi bhar ki kamai hai isi ki kokh se ubhrenge sad-ha muskuraate din bhula baithe wo sal o sin ki jab is zindagi ko ek pal fursat nahin thi aa ke mil leti ye dekho! zindagi ne aaj khud aa ke pukara hai yaqin hai ab se har lamha hamara hai!