aandhi thi tufan tha kya tha meri mez pe kaun aaya tha camel ink padi hai ulti gul-danon mein ret bhari hai kursi ki tangen tirchhi hain file mein titli natthi hai timepiece ka shisha tuta mez-posh par kale dhabbe kate hue akhbar ke photo letter-pad mein kaghaz aadhe topi ghaeb hai shafer ki kam hain album ke nau panne 'adnan' aur 'zaman' kahte hain aiman toffee dhund rahe the 'hamra' 'samra' nach rahi thin 'faizi' mar rahe the chhakke mez par halla bolne wale the mere hi pyare bache