ye dukh kam kyun nahin hota meri jaanan hamein bichhde to kitne din mahine sal guzre hain magar ye chot gahri hai magar ye zakhm taze hain ye dukh kam kyun nahin hota meri jaanan agar main sath do panchhi bhi baithe dekhta hun to mere mazi ka har manzar meri aankhon ke doron mein ubharta hai tadapta hai meri aankhon ki putli dub jati hai ye dukh kam kyun nahin hota meri jaanan wo sare log jin ki wajh se hum log bichhde the mukammal zindagi kar ke wo sab qabr mein soe hain tumhaara dukh mere sine mein lekin ab bhi zinda hai jawan hota hi jata hai ye dukh kam kyun nahin hota meri jaanan ab itni muddaton mein tum bhi shayad bhul baithi ho mere sab dost rishta-dar lakhon mil aage hain safar mein zindagi ke magar main rah gaya kirdar tanha is kahani mein ye dukh kam kyun nahin hota meri jaanan