ye ek dohri aziyyat hai aziyyat be-sabab hansne ki be-aram raaton ki kahani shab-zadon ke samne hans hans ke kahne ki khudawand khuda ki mehrbani hai duaen aap ki hain aap ki sarkar mein zinda hun khush hun bataur nasehan milta hai koi ba-rang-e-mehrban milta hai koi ba-sai-e-raegan milta hai koi wo kam-agah kam-ehsas kam-awaz ladki hai wo ladki mujh se milti hai magar andar utar jae to chubhti hai wo apni kam-sawadi jaanti hai aur sisakti hai ajab surat hai wo jab bhi kahin jae to aa jae kahin rasta kinare mujh se takrae to aa jae kabhi bhi apni kaj-fahmi pe ro jae to aa jae hawa-e-sham ki aawaz sun pae to aa jae hawa-e-sham ye kaisi mohabbat hai wo ladki mujh se milti hai magar andar utar jae to chubhti hai wo apni kam-sawadi jaanti hai aur sisakti hai main apni kam-sawadi jaanta hun aur hansta hun ye ek dohri aziyyat hai