teri qurbat ki lazzat-e-shirin jism-o-jaan mein utarti jati hai chand upar hai nile ambar mein jhil niche hai aur hum donon aa mere pas aa yahan shab-bhar apne jismon ki wadi-e-nau mein sabz pedon khanakte jharnon ki naghmagi latif ko dhunden apni ruhen kasafat-e-gham se tair uthengi taza zinda do kanwal ke hasin phulon ke rup mein dhal ke muskuraengi aur pariyan hamein sulaen gi aasman se zamin tak hasti khwab hai aur khwab-e-awara jhonke aate hain narm aur taza donon jismon mein raazdari hai donon ruhon pe wajd tari hai