shayad ye ek tawil khat ka khulasa hai jo tum tak nahin pahunch sakega ek na-mukammal kahani ka iqtibas jise tum nahin sun sakoge shayad ye tumhaare liye likhi jaane wali taqrir ka ibtidai hissa hai ya us git ke bol jo sirf almaiya mauqon par gaya jata hai ya wo paigham jise sari duniya mein bar bar dohraya jata hai ye aansu hai jo marne walon ki jeb se baramad hota hai ye ek tir hai jo zinda rahne walon ke dil mein hamesha paiwast rahta hai ek talwar jis se aankhen nikali ja sakti hain aur ek pistol jo sirf kanpati par rakh ke chalai jati hai ye ek sitara hai jo barish ke baad numudar hota hai ek baadal jo kabhi numudar nahin hota aur ek mohabbat jo sitaron aur baadalon mein chhupne ki koshish karti rahti hai
This is a great khalsa shayari. True lovers of ganpati shayari in marathi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this pistol shayari hindi is truly a work of art. Please share if you liked this!!!