sab kat do bismil paudon ko be-ab sisakte mat chhodo sab noch lo bekal phulon ko shakhon pe bilakte mat chhodo ye fasl umidon ki hamdam is bar bhi ghaarat jaegi sab mehnat subhon shamon ki ab ke bhi akarat jaegi kheti ke konon-khudron mein phir apne lahu ki khad bharo phir mitti sincho ashkon se phir agli rut ki fikr karo phir agli rut ki fikr karo jab phir ek bar ujadna hai ek fasl paki to bharpaya jab tak to yahi kuchh karna hai