main jaanta hun ki aansu fana ka lamha hai use teri nigah-e-jawedan se rabt nahin main jaanta hun ki tu bhi shikar-e-dauran hai mata-e-jaan ke siwa is qimar-khane mein har ek naqd-e-nafs haar kar pashiman hai magar ye rabt hai kaisa ye kya talluq hai ki jab bhi haar ke uttha jahan ki mahfil se umang hans ke kaleje pe chot khane ki hujum-e-dushna-o-khanjar mein muskurane ki umang dao pe jaan-e-hazin lagane ki na jaane kyun mere dil mein khayal aaya hai ki ja ke tujh se shikayat karun zamane ki