ye ghar jal kar girega tum ne lau dhimi nahin ki hijrati ghar chhodne ke bhi koi aadab hote hain chalo do chaar din rah lo kisi ke aane jaane tak jahan tak masiyat hai irtiqa ka dar khula hai ye ghar jal kar girega in parindon se kaho dahliz se aage nikal jaen khuda-e-khushk-o-tar ki saltanat ek ghar nahin hai aur mausam hain hawadis ke abhi barish bhi hogi abhi barish bhi hogi khema-dozon se kaho ek baadban si len kisi ki bazyabi tak ye sara shahr jalne ke liye baqi rahega tum diye ki lau magar aahista rakhna aur mausam hain hawadis ke jahan tak masiyat hai irtiqa ka dar khula hai