gharon ki raunaq ye zard bachche padhen likhenge jawan honge maash ki fikr in ki qismat talash-e-farda hayat in ki ye rahguzaron pe apne mauhum khwab le kar phira karenge ye ghar banaenge shadyane bajaenge aane wale rangin dinon ki khatir ye chand luqmon ki zindagi ka maal samjhenge hasb-e-dastur umr bhar un ko ungliyon par gina karenge ye mera hissa ye tera hissa phir ek din ye bhi zard bachchon ke bap honge aur un ki khatir dua karenge daraaz ho in ki umr dekhen ye sau bahaaren