ye aag aur khun ke samundar mein girta hua shahr mera nahin hawa se ulajhta hua main chala ja raha hun andhera hai gahra ghana be-aman raat ke dasht mein tere mere makan dur hote chale ja rahe hain lahu ke ujale bhi madum hain aur tarik gumbad mein masum ruhon ke kohram mein be-sada aasman ki taraf khun mein luthde hue hath uthte hain tahlil ho jate hain aur kahin dur apni fasilon ke andar bikharti hui na-muradon ki basti ke upar hawa se ulajhta hua main uda ja raha hun andhera hai gahra ghana be-aman main bulata hun aawaz deta hun ab us hasin shahr ko jo purani zaminon ke niche kahin dafn hai koi aawaz kanon mein aati nahin hai main shayad purani zaminon ke niche bahut dur niche kahin dafn hun khun mein luthde hue hath tarik gumbad ye andhi hawa phadphadata hua ek zakhmi parinda kahin dur apni fasilon ke andar bikharti hui na-muradon ki basti ke upar main jalte paron se uda ja raha hun ye aag aur khun ke samundar mein girta hua shahr mera nahin hai