hum riwayat ki kohna sadiyon ke parbat tale wo ghane sabz jangal hain jo be-panah shakh-dar-shakh tabindagi tazgi ke tamawwuj se sanwla ke khud hi jhulas jaen aise jalen aise jalen ki faqat dur tak koela koela hi dikhai de aur tazgi ki numu khak se bhi gawahi na de wo muqaddar ke achchhe ki jin ko jalape ki muddat guzarne pe un koelon ki jagah hire moti mile wo muqaddar ke achchhe ki jin ki duaen zamin ki tahon mein wahin to kahin sona chandi banen wo muqaddar ke achchhe ki jin ke badan kholte khun ke chashme the ab bhi hain pare ki kanon ki surat kahin to kahin aise bhi sakht jaanon ke hain silsile ja-ba-ja jin se faulad ka nam painda hai wo jalan jo kabhi tazgi ke tamawwuj se paida hui hai muqaddar ki tahrir aisi ki jis ki jalan ibtida intiha bhi jalan jalte rahne ka ye saneha bhi jalan anjuman anjuman chaudhwin-raat ke chand ne bhi kaha bhigi barsat ke rad ne bhi kaha tum wahi ho ki jin ko chatakhne ki mohlat bhi milti nahin ab riwayat yahi hai nibhao hanso muskurao jalo har ek zard chehra gulabi karo har ek aankh ko arghawani karo magar yaad rakkho riwayat na tute tamawwuj ki har tazgi lakh jhulse riwayat na tute