nannhi se ye bolin nani meri pyari gudiya rani tu ne ye kya khel dikhaya khol diya kyon nal ka pani aa ja meri god mein aa ja sun le mujh se ek kahani ye jo apni gol zamin hai pahle-pahal thi pani pani sab duniya thi ek samundar jis ki lahren thin tufani rafta rafta ubhri khushki haule haule utra pani ped pahad chattanen sahra jangal ka jangal haiwani sari chizen ho gain paida tab aai wo subh suhani jab allah ne hukm se apne dikhlane ko apni nishani duniya mein insan ko bheja khub badhi nasl-e-insani tum ko sun kar hairat hogi meri pyari gudiya rani hisse chaar zamin ke hon to ek hai khushki tin hai pani lekin istimal ke qabil ziyaada pani nahin hai jaani thoda thoda kharch karen hum nal ki tonti nahin bahani