ek udas chand se lagao ke dinon ki yaadgar hai main manzaron se sarsari guzarne wala shakhs tha yunhi si ek sham thi aur ek jhil thi ki jis mein us ka aks tha so main wahin thahar gaya wo chand mere sare jism mein utar gaya ye ek hijr jo azal se mere us ke darmiyan tha magar ajab junun tha jo chahta tha duriyon ko tod de lagam-e-asp-e-asman zamin ki samt mod de achanak ek subh meri aankhen bujh gain ya udas chand ko sahar nigal gai ye jo sham zar-nigar hai ek udas chand se lagao ke dinon ki yaadgar hai