kahin ek nuqte pe phaile hue aasman ke thahar jae suraj kisi ek goshe mein tarik ghaaron ke ru-posh ho jae qasid siyah-raat ka chaman mein har ek samt kaliyan labon ko rakhen wa magar koi shabnam ka qatra na un mein gire ye mumkin hua hai na ab tak magar zamin apne mehwar pe gardish lagati rahi hai