ThiThurte lamhon ki nazm

pahadon ki nukili chotiyon par
barf ki parten jami hain

phisal kar dhup chikne jism se
gahre samandar ki tahon mein

kho gai hai
ghane jangal ke sare ped

farghul mein lapete jism apne
chup khade hain

zamin ke pas suraj ki
amanat bhi nahin hai

ye yakh-basta manazir
meri thithuri mutthiyon mein

ghulte jate hain
meri thandi hatheli

gudgudi se
khilkhilati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close