jab gard-o-ghubar ka tufan meri jaanib badhne laga to mujhe yaad aaya ki puri duniya mein aankhen ek jaise aansu bahati hain aag mein ubalti hui haddiyan ek jaisi rangat ikhtiyar kar leti hain lahu jab jam jata hai is ke surkh se siyah hone ka dauraniya ek jitna hota hai gard-o-ghubar ke tufan ne sab kuchh dhanp liya magar hiroshima aur naga-saki ke khandaraat phir se numudar hone lage hain aur saraiyo baghdad kabul aur ghazza ki galiyon mein khelne wale bachche meri taraf dekh kar muskuraate hain