ye kis ki sazish hai kis ka khun hai ye kaun aamada-e-junun hai ye kaun aag aur khun ki holi jala raha hai ye kaun tiron se khelta hai ye kaun khanjar-ba-kaf ukhuwwat ka jism-e-nazuk kuchal raha hai humakti masumiyat ko nezon se chhedata hai larazti insaniyat ke kheme jala raha hai ki aasman se muhib shoale baras rahe hain hawaen masmum ho gai hain fazaon se khun tapak raha hai zamin ki chhati ko chir kar nafraton ka lawa ubal pada hai har ek zi-ruh ke badan par ek an-kahe khauf ki rida hai munafiqat ki barahnagi kaise harf-e-aghaz ban gai hai adu-e-danish ko kis jafa-kar maslahat ne kalid-e-danish sipurd ki hai adu-e-insaniyat ko kin chira-dastiyon ne hukumat-e-kurra-e-zamin saunp di hai jis ne bina-e-tahzib raund dali ki ru-e-hasti se aks-e-tahzib ki darakhshan mataa ka nur mit raha hai shaban-e-dijur ki siyahi umad rahi hai wo tirgi hai har ek juya-e-haq se tanwir-e-ilm-o-irfan kinara-kash hai