tum ko nobel ki zarurat hi nahin hai baba koi eazaz koi takht koi taj-e-shahi koi tamgha nahin duniya mein tumhaare qad ka tum ne is mulk ke logon pe hukumat ki hai tum ne khidmat nahin ki tum ne ibaadat ki hai koi masnad bhi tumhaare liye tayyar nahin tum kisi aur sataish ke bhi haqdar nahin lekin aati hai kahin se ye sada-e-bar-haq jhilmilati hui aankhon ki nami mein tum ho sab ke dukh-dard ke sathi ho ghami mein tum ho sab ki khushiyon mein ho maujud dukhon mein tum ho sab ki sanson mein mahakte ho dilon mein tum ho isi khidmat mein hai poshida tumhaara nobel tum yahan khak-nashinon ke numainda ho sirf bewaon yatimon ke liye kaam karo tum to bas lashen uthane ke liye zinda ho