ye mahlon ye takhton ye tajon ki duniya ye insan ke dushman samajon ki duniya ye daulat ke bhuke riwajon ki duniya ye duniya agar mil bhi jae to kya hai har ek jism ghayal har ek ruh pyasi nigahon mein uljhan dilon mein udasi ye duniya hai ya aalam-e-bad-hawasi ye duniya agar mil bhi jae to kya hai yahan ek khilauna hai insan ki hasti ye basti hai murda-paraston ki basti yahan par to jiwan se hai maut sasti ye duniya agar mil bhi jae to kya hai jawani bhatakti hai bad-kar ban kar jawan jism sajte hain bazar ban kar yahan pyar hota hai bewpar ban kar ye duniya agar mil bhi jae to kya hai ye duniya jahan aadmi kuchh nahin hai wafa kuchh nahin dosti kuchh nahin hai jahan pyar ki qadr hi kuchh nahin hai ye duniya agar mil bhi jae to kya hai jala do ise phunk dalo ye duniya mere samne se hata lo ye duniya tumhaari hai tum hi sambhaalo ye duniya ye duniya agar mil bhi jae to kya hai