ye meri ghazlen ye meri nazmen jo main ne tujh se bichhad ke likkhin unhen koi chhapta nahin hai main jab bhi tere firaq ka nauha likh ke laun sukhan-shanason ko mera tarz-e-amal na bhae teri mohabbat ka dard ho jis ghazal mein shamil kisi ko aisi ghazal na bhae jawab aae ki jaane walon ko yaad karne se koi bhi faeda nahin hai main teri yaadon ko gundh kar apni hasraton mein tarashta hun agar tera dil-nawaz paikar wo log dete hain mujh ko but-parasti ka tana jude hain jin ke dilon mein patthar wahi sanam-gar karen nasihat buton pe marne se koi bhi faeda nahin hai main zikr karta hun jab wasl ki ruton ka to shahr ke sare parsa mujh ko tokte hain khilaf-e-akhlaq jin ke nazdik hai mohabbat wafaon se mujh ko rokte hain kachokte hain ki apni izzat pe nam dharne se koi bhi faeda nahin hai agar kabhi main judaiyon ka sabab bataun to meri nazmon se khauf khane lagen jaride samaj par ehtijaj karne ka haq jo mangon koi ye kah kar zaban si de likho qaside ki khud ko yun be-lagam karne se koi bhi faeda nahin hai isi liye to habib mere ye meri ghazlen ye meri nazmen jo main ne tujh se bichhad ke likhin unhen koi chhapta nahin hai