ye mujh mein kaun hai ki jab bhi gardish-e-lahu ne mere jism ki hararaten har ek rag-e-hayat mein utar din to us ki khud-kalamiyon ne nind ki siyah chadaren samet lin samaaton ki rahguzar mein us ki guftugu ke qafile ruke to dasht-e-zindagi pe abr ka ghilaf aa gaya sukut-e-zindagi mein jaise inqalab aa gaya main us se puchhta raha ki kab talak ye marg-o-zist ki musibaten firaq-o-wasl ki saubaten mere wajud par rahengi khema-zan magar mere sawal par ya meri arz-e-haal par nuzul-e-harf-e-agahi na ho saka wo mujh mein asl zat ki tarah raha magar kabhi ye munkashif na ho saka ki is khiyam-e-zat mein mere siwa ye kaun hai ek ajnabi sa aashna ye mujh mein kaun hai