ye raat hogi tawil kitni buland hogi fasil kitni ye khauf-o-dahshat ka daur-daura rahega kab tak gali gali kucha kucha pahra rahega kab tak ye aag jangal ki aag kab tak falak se barsegi rakh kab tak sitare tutenge aur kab tak yun aasman se parind ruthenge aashiyan se ye phul-patte hawaen shabnam karenge kis kis ka aur matam siyah pur-haul aandhiyon ka ye mauj mela rahega kab tak muqable mein shajar akela kadakti bechain bijliyon ka zamin ki jaanib safar kabhi to tamam hoga phirenge dharti ke din yaqinan kabhi to bandon pe lutf-e-rabb-e-anam hoga hasin titli ke narm-o-nazuk paron ki jumbish dhanak ke khush-dida rang har-su bikher degi kabhi to baad-e-nasim khushbu bikher degi mujhe yaqin hai ki kal ke suraj ki muskurahat zamin ke mahrum basiyon ko nai sahar ka payam degi labon ko izn-e-kalam degi mujhe yaqin hai wo din bhi aaega jab urus-e-chaman ke qadmon ki dhimi aahat sunai degi bahaar lamhon ki gungunahat sunai degi tuyur chahkenge baaliyon par gulab mahkenge daliyon par kabhi to dekhega sar utha kar chaman mein nanha sa koi pauda kabhi to jhankega baadalon ka hata ke ghunghat kahin ye chhota sa ek sitara kabhi to niklega chand pura ye ghar ye aangan chamak uthega har ek chehra damak uthega mujhe yaqin hai kabhi to utrega aasman se koi farishta padhega chehre pe jo likha hai sunega wo bhi jo hum ne ab tak nahin kaha hai siyah raaton ki tirgi ka tawil be-kaif zindagi ka koi to aa kar hisab dega hamari aankhon mein khar ban kar jo chubh rahe hain sawal un ka jawab dega