mera koi nam nahin na koi watan na mazhab na bap na man hai koi yun mera hona bahuton ke nazdik mashkuk ho gaya phir har taraf se thu thu hone lagi mawara se ghasitte phiro us ki lash ek sath kai aawazen buland huin kai mutthiyan khinchin lathiyan chalin talwaren saunti gain banduqen daghi gain par sari talwaren lathiyan aur banduqon ki goliyan kuchh dur hawa ko chir kar niche aan girin jis ka koi nam na ho na watan na mazhab na koi wali waris use nishane par lana aasan bhi to nahin ye sab kuchh to har ek mein chhupa hua hai kuchh farz kar lena haqiqat mein kuchh hona to nahin hai han kisi ki maut farz ki ja sakti hai kisi bhi la-waris qabr par kisi bhi nam ka katba lagaya ja sakta hai sab harami bachche ek ho jaen mutthiyan bhench len lathiyan tan len talwaren saunt len banduqen utha len aur shust bhi bandh lin to bhi un ka war khali hi jata hai khali na bhi gaya to bhi halakat to khud un ki honi hai kyunki ye sab kuchh to har ek mein chhupa hua hai