samundar ki khushbu mere pet mein ghul rahi hai wo zara fasle par hi bichha hai aur khamoshi se aasman ko khud ko takte hue dekh raha hai main ek kamre mein surkh qalin par yoga aasan karte hue aankhen munde apne dil ki aawaz sun rahi hun jo aaj sukun se hai jaise koi bahut thak kar soya ho waswason ke darmiyan se nikal kar main apne dil ki is aasudgi par khush hun jaise koi man apne bimar bachche ko aaram se sote dekh kar chain ka sans leti hai mere pet mein samundar ki khushbu ek waqt ki ghiza ki tarah mujhe zinda kar rahi hai us waqt se pahle jab ek bar phir mera dil sote se jage apne waswason se khelne ke liye