koi aage na pichhe bahut dur tak ek lambi sadak darmiyan mein koi saya chehra-ba-kaf goya taswir tajrid mahaul ka canwas behad-o-be-karan is pe bujhta hua raat ka koela aag ka raaz-dan sare pas-manzaron ko samete hue jo dikhai nahin de raha wo dhuan aur sadak jis ka koi sira hi nahin chal raha hun bahut muddaton se yunhi koi aage na pichhe bahut dur tak