jhilmilon ki aad mein raqsan dard ki aandhi shor macha kar pani ki diwar utha kar waqt ki sarhad tod rahi hai pani ki diwar mein qatra qatra rauzan khol rahi hai aankhen apne hath badhae rauzan ke us par khuli hain aks ki tah mein aks ko chhu kar dekh rahi hain bhige chehre jismon ki mohtat fasilon par chipke be-khud pairahan diwaron par gile tiron ki bauchhaaron ki tahriren nashshe mein gum pedon ke khwabida patte nikhri ghas mein chandi ke labrez katore sehr-zada galiyon ki bhigi bhigi aankhen aur angdai leti dharti ki poron se uthti sarshaari ki khushbu par aise mein jal kar bijli dahad ke hath jhatak deti hai pani ki diwar ke pichhe sab manzar dhundla deti hai waqt ki badh laga deti hai