ai hawa phir se mujhe chhu kar qasam kha sehn mein kis ne qadam rakkha tha chupke se yahan se kaun mitti le gaya tha waqt ki thaali mein kis ne la ke rakh di jhilmilati lau ke aage raqs karti ye sajili murti jis ke nuqush-e-jism raushan ho rahe hain weshiya ke hont farba panw jaise ek girahstan ke khamiri pet mein makhmal ki lahren nuri wa nari subuk-andam lahron mein bhanwar ek gol sa phir se mujhe chhu kar qasam kha ai hawa tu jaanti hai raaz sara do alag tarzon ki mitti ek bartan mein mila kar gundhne ka!!