is se kah do ki wo apne dikhte hue bazuon ko yunhi tah rakhe rahdari ke parle sire par wo kis se milegi koi khwab raaton ki bojhal hawa mein kisi par samete parinde ka khwab koi khwab bimar bistar pe bujhte samay raat ke narm panw guzarne ka khwab band kamre mein dopahar bhar sirf ek zer jame mein sone ka khwab ya koi aanganon mein utarti hui aankh ki konpalon se ulajhti hui dhup bhak se ud jaane wali surangon ki manind bichhti hui dhup munh andhere ye danton tale kirkiraati hui dhup us se kah do kahin bhi koi khwab ho dhup ho nisf-shab apne shauhar ke pahlu se uthti hui nim-tarik zine se tham tham utarti hui ek be-ant lambi masafat pe phaili hui rahdari ke parle sire par wo kis se milegi us se kah do dariche ke parde gira de ki khidki se aati hui raushni gard hi gard hai magar taq bhi apni nam-khurdgi mein bada zahr hai us se kah do ki wo apne dikhte hue bazuon ko yunhi tah rakhe