barf aur barud ke burade mein thithurti sulagti shab tumhaare aane ki khushbu chahaar samton mein har ek ummid ka aangan sadaen deta hai khamida khwab hamare bhi sar utha ke chalen nigahen naz karen huruf lab se jo niklen to den payam-e-masih hamari samton ko amn-o-aman mayassar ho chamakte chand ka tesha fasil-e-shab kate to ju-e-shir aae isi liye mere chaaron taraf charaghan hai ki tum jo aao dabe panw to kuchal dalo ye maslahat ke mahakte hazar-ha mausam sadak pe khelte bachchon ko thoda bahlao dhup dikhlao sard raaton ko garm barud ko bhi pighlao payam-e-marg ke badle mile payam-e-hayat mujhe bhi ek barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai