ye kin khayalon mein kho rahe ho nai hai buniyaad-e-ashiyana chaman ki tamir is tarah ho ki rashk tum par kare zamana ye jaan lo kis maqam par ho chuna hai kis rahguzar ko tum ne utho ki tahzib-e-nau ne badh kar badal diya dahr ka fasana tumhaare azm-o-amal mein pinhan farogh-e-alam ki quwwaten hain badal do tadbir se muqaddar hanuz haalat ka nishana jo dil mein manzil ki aarzu hai to sikh lo tum ai nau-jawano har ek aafat ka rukh badalna har ek musibat par muskurana tumhein khabar hai ki ahd-e-mazi mein daur aise bhi aa chuke hain pade rahe tum hi ghaflaton mein pukarta rah gaya zamana naya zamana nai hai mahfil nae hain barbat nai tarangen purane ragon ko band kar do faza ko de do naya tarana na ahl-e-duniya ki samt dekho juda juda hai mafad sab ka agarche koshish karoge dil se banega firdaus aashiyana maza to jab hai ai nau-jawano kahe tumhein aafrin muarrikh abhi to hai waqt sabt kar do tum apna tarikh mein fasana