ye sari khudai hamare liye hai nahin hai parai hamare liye hai ye sari khudai hamare liye hai hamein is khudai mein hai kaam karna bahut kaam karna bada nam karna ye sari khudai hamare liye hai sikhate hain ye shahar aabaad hona aur aapas mein mil-jul ke dil-shad hona ye sari khudai hamare liye hai ye bagh is liye hain ki phirne ko jaen phalon aur phulon se hum lutf uthaen ye sari khudai hamare liye hai khule madrase hain ki in mein padhen hum taraqqi ke raste pe aage badhen hum ye sari khudai hamare liye hai kiya fath hum ne hawai faza ko hawai jahazon se chira hawa ko ye sari khudai hamare liye hai samundar pe bhi hai hukumat hamari jahazon mein hai band taqat hamari ye sari khudai hamare liye hai hamin dam mashaqqat ka bharte hain ja kar bayaban aabaad karte hain ja kar ye sari khudai hamare liye hai bahut umren mehnat mein barbaad ki hain ye railen tab insan ne ijad ki hain ye sari khudai hamare liye hai zamin is liye hai ki kheti karen hum mashaqqat karen pet apna bharen hum ye sari khudai hamare liye hai