ye waqt-e-subh ye saman ye dida-zeb gulistan ye dil-fareb kiyariyan tuyur ke ye chahchahe ye dil-lagi ye qahqahe ye malnen ye baghban bahaar-e-jannat-nazar tarab-faza hai kis qadar darakht hain idhar udhar ajab faza-e-nur hai surur hi surur hai nahin hai kaun shadman zamin se ta-ba-asman jamal-e-dost zau-fishan mile jo chashm-arifan chale meri zaban-e-dil banun mein tarjuman-e-dil sunaun raaz-e-qudsiyan faza bahaar-khez hai hawa surur-bez hai chaman mujhe aziz hai nisar dil bahaar par nigah-e-margh-zar par ye kaif-e-dil ye bostan nazzara-baz hain kahan dikha raha hai aasman nazar-faroz surkhiyan zuhur nur se khajil rahenge sirf kor-dil karunga main to mastiyan khayal baada-rez hai ye baada kaif-khez hai chaman bhi khas chiz hai girah-kusha-e-shauq-e-dil asar-faza-e-zauq-e-dil ye waqt-e-subh ye saman