ye sas hai ki sher chhupa hai naqab mein allah kisi ko sas na dewe shabab mein hairan hun dil ko roun ya pitun jigar ko main soti hai wo sambhaalti hun sare ghar ko main billu ko chup karaun ki marun qamar ko main farsh-e-zamin dhoun ki manjun kukar ko main ro ro ke yaad karti hun father pidar ko main dikhti hai sas hi mujhe dekhun jidhar ko main har ek se puchhti hun ki dekhun kidhar ko main naz-o-ada se tham ke apni kamar ko main jab apna dukh sunaun qamar ke pidar ko main kahte hain dekh aag laga dunga ghar ko main achchha yahi hai dhund le rahat azab mein khushiyon ka zikr kufr hai meri janab mein
Please share if you liked this!!!